Zindagi kuch aisi bhi..
Apne aap ko kisi na kisi timetable se baandhe rkhne ki pataa nahi kyu hod thi
Wo 2 minute waala naashta
Wo on the go waali coffee
Wo on my way waala phone call
Wo take away waala lunch
Wo quick waala protein snack
Wo darwaaze se hi Maa ko bye bol dene waali aadat
"Haan bas gaadi Mai hi hun, pahunche waala hun" wo puraana bahaana
Nikalte waqt piche se pukaare jaane par chid jaana
Lift jab har floor par rukti hai toh wo "tchh" kar dene waali aadat
Har baar wo "I don't have time for anything in life" waali ratti hui line
Shaam ko ghar aate hi "Me time" ki sakht zarurat jataana
Unwind karne k liye bas wo ek drink banaana
Din bhar overeating ka paschaatap krne wali wo salad
Aur raat hote hote how to cure insomnia waala wo Google search
Kya life thi yaar!
Aaj yahan toh kal wahan
Par sach toh ye hai ki aisi zindagi mai sukoon kahan
Ab iss sukoon ki aadat si ho rhi hai,
Lockdown ki moholat ab kam si ho rahi hai
Ye virus toh sirf ek bahaana thaa
Shayad hum sabko zindagi jeene ka dhang firse sikhaana thaa!

Comments
Post a Comment