SHAYAD..
Kal kisine mujhse poocha
Iss lockdown Mai tum sabse jyada kya miss karte ho
Saara din ghar baith kar bore nahi ho jaate
Apne nazariye se socha toh koi jawaab nahi thaa mere paas
Netflix and chill ki iss duniya mai ye lockdown hai full timepass
Fir achanak, Mobile gallery ke kone mai padi wo tasveeren nazar aayi
Aur ek lambi si list jehen ke kisi panne se ubhar aayi
Haan karta hun
Bahut miss karta hun
Office Mai roz subah sabko "Good morning" bolna miss karta hun
Office ki wahi chahal pahal aur raunak hona miss karta hun
Office k baad wo paas k stall se chicken wings khaana miss karta hun
Aur ussi khaane ko pachaane k liye Shaam Mai gym jaana miss karta hun
Doston k saath shaam ki tapri waali chai peena miss karta hu
Aane k baad ghar mai taiyaar wo raat ka khaana miss karta hun
Khaane k baad apne doston k saath thandi hawa mai walk karna miss karta hun
Weekend mai doston k saath wo khaas travel plan karna miss karta hun
Mood light up karne k liye paas k Inox mai hi movie dekh aana miss karta hun
Garmi mai wo romanch se bharpur swimming karna miss karta hun
Fir khule aasman k niche thandi lassi peena miss karta hun
Tyohar aur chuttiyon par ghar jaana miss karta hun
Aur mummy, papa ko gale se lagaana miss karta hun
Kisi b dost k ghar bejhijhak pahunch jaana miss karta hun
Bina 1 litre sanitizer lagaaye apnon ke paas, aana miss karta hun
Par achanak, ek aur khayaal mere mann Mai aaya
Jisne mujhe sochne ka nayaa dhang sikhaya
Jab ye lockdown khatam hoga,
Tab Shayad hum sabme ek badlaav hoga,
Shayad Ek nayi aur behtar duniya ka aagaz hoga,
Shayad Saaf hawaa, neela aasman aur nekdil insaanon se bhari duniya mai jeene ka ailaan hoga
Shayad..

Comments
Post a Comment