Ek Hone Lage Hain..
Der se hi sahi par din ab thode thamne lage hain
Neend na aane k bahaane roz subah 4 baje tak jagne lage hain
Zabardasti hi sahi par ab hum ghar mai rehne lage hain
Balcony se chai coffee ki khushboo ab roz aati hai
Terrace pe kauwe nahi par aas padosi dikhne lage hain
Zomato nahi par logo ko maa ke haath ka khana ab firse pasand aane lagaa hai
Aur hum jaise aur logo ko toh khaana banana aane lagaa hai
Bacchon ko nani ya tution teacher nahi, ab ghar wale smbhaalte hain
Fun activities in quarantine ke bahaane quality time beetaate hain
Hair spa k liye salon toh nahi, par ab ghar baithe garma garam tel lgwaaye jaane lagein hain
Laptop par Netflix aur plate m bharpur khaana dekh kar, har chotti si chotti baat mai upar waale ka shukriya adaa kiye jaane lagein hai
Baithe baithe UNO, antakshari ya ludo k saath hi, apne bhule bhatke talents aajmaaye jaane lagein hain
Ab whatsapp message par haal chaal nahi pooche jaate, sofe par aaram se baith kar lambe lambe audio aur video call kiye jaane lage hain
TV par Mahabharata aur Ramayana dekhne k bahaane pariwar k sab log ek saath baith kar ek dusron ki baaton par gor karne lage hain
Apne hi ghar waalo ke chehre shayad pehli baar dhyaan se dekhein hain
Dadi ki sugar, dada ka chasma, maa ke ghutne aur papa ka BP ab sab nazar aane lage hai
Binaa maange apne staff ko advance salary de kar
Binaa tankhwah kaate apni maid ko chutti de kar
Jaanwaron k liye apne ghar k bahaar khaana paani rakh kar
Kabhi taali bajaa kar toh kabhi diye jalaakar, apne apne tareeko se
Anek ho kar bhi ek hone lage hain,
Anek ho kar bhi ek hone lage hain.

Comments
Post a Comment